The Main Reason why People Get Fat in Urdu Hindi | Research found

The Main Reason why People Get Fat in Urdu Hindi | Research found
Share it:
Tehqeeqat k bad loogo k moty hony ki waja samny agai.

The Main Reason why People Get Fat in Urdu Hindi | Research found

London(Monetring Desk) Aik nai tehqeq main motapy ki sab se banyadi waja ka pata chala hai, Nither land main hony wali tehqeq ka mutabiq yeh waja koi aur nahi balky aap ki apni susti hai, ji haan jaisy jaisy age bharti hai insaan kam chalta phirta hai our yeh sust tarz-e-zindagi ki wja banta hai.

Tehqeq ka mutabiq yeh koi hairat ki baat nahi kay hum jo food khaty hain is se hasil hony wali kalorise ko jalany k liye sub se Important cheez jismaani sargarmiyaan hoti hain. Ab chahiye stairs par charha jaye, daftar main chahal qadrmi ki jaye yaa workout ka zariye pasina bahaya jaye hum apni tawanai ko use karty hain our is tarha jasmani wazan ko barhny se rokty hain, tehqeq main mazeed bataya gaya k motapy se bachny ka sab se behtreen method kisi bi sargarmi jaise paidal chalna yaa joging kay zariye zayada se zayada kalorise ko burn karna hai. Taham muhaqeqeen ka kehna tha kay weight lifting yaa jasmani mazboti ki execise motapy se bachao k liye faida mand nahi kyok woh kalorise burn ka kaam nahi karti.

Tehqeeq ma bataya gaya k weight lifting yaa jasmani mazboti ki tarbiyat aik sehat mand adat hai jo tawazan our jasmani phirti k liye to faida mand hai magar yeh metabolism ko taiz nahi karti jo ghaza ko hazam karny ma madad dany wala nazaam hai. Muhqeqeen ne mashwara diya hai kay logoo ko ghaza kay hawaly se zayada shaoor paida chahiye our jab bhook lagy isi waqt khana chahiye, is tarha motapy se bachna asaan ho jata hai.

The Main Reason why People Get Fat in Urdu Hindi | Research found

Share it:

Health Articles

Lose Weight

Post A Comment:

0 comments: